Tuesday, 9 January 2018

Noshi Gilani Poetry







Kisi Hurf Me
 Kisi Hurf Me Kisi Baab Me Nahi Ayga 
                   Tera Zikar Mere Kitab Me Nahe Ayega 


Muhbbatt Ke Ki Aseer
Muhbbatt Ke Aseer Se Rehai Mangtay Rahna
 Boht Aasan Nahein Hota Judai Mangtay Rahnna 


YEH MERI UMAR, MERE Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,

Mere khuda mere dukh se nikaal de us ko,
Woh chup kharra hai keyi din se teri khatir to,
Kawaarr khol de azn-e-sawaal de us ko,
Azaab-e-badnazri ka jise shauur na ho,
Yeh meri aankhen, mere hadh-o-haal de us ko,
Yeh dekhna shab-e-hijraan ke kis ki dasstak hai,
Visaal rut hai agar woh, to ttaal de us ko,
Woh jis ka harf-e-duaa roshni hai mere liye,
Main bujh bhi jaaon to maula ujaal de us ko..


                    Teri khushbu nahin milti, tera lehja nahin milta.

TERI KH

USHBU NAHIN M..Teri khushbuu nahin milti, tera lehja nahin milta,













Humen to sheher main koi tere jaisa nahin milta,
Yeh kesi dhund main hum tum safar aghaaz kar bethe,
Tumhe ankhen nahin milti, humen chehra nahin milta,
Har ik tadbeer apni raayegaan thehri mohabbat main,
Kisi bhi khawb ko tabeer ka rasta nahin milta,
Bhala us ke dukhon ki raat ka koi mudaava hai,
Woh maan jis ko kabhi khoya hua bacha nahin milta..


Bohat tareek sehraa ho geya hai..


BOHAT TAREEK SEHRAA ..












Bohat tareek sehraa ho geya hai,
Havaa ka shor gehraa ho geya hai,
Kisi ke lamss ka yeh mojza hai,
Badan saara sunehra ho geya hai,
Yeh dil dekhoon ke jis ke chaar janib,
Teri yaadon ka pehraa ho geya hai,
Wohi hai haal-o-hadh me roshni si,
Pr til aankhon ka gehraa ho geya hai,
Kabhi uss shakss ko dekha hai tum ne,
Mohabbat se sunehraa ho geya hai..
















No comments:

Post a Comment